BLOGGER HELP IN HINDI

Darwin sahab ne ek bahut hi interested theory diya tha "survival of fittest" , isme bataya gya hai ki is universe me vahi jiv apna aastitva banaye rakh sakta hai jo baki dusro se fit ho
         blog bhi isi tarah ek universe ki tarah hai jaha hum bloggers apne apne aastitva ki ladai lad rahe hai. Jo blogger is ladai me khud ko fit rakhane me safal hote hai wo hi yaha par survive kar pate hai. Iska example
we sare blog hai jo apne pair pe khada hone se pahle hi apne owner k dwara chhod diye gaye.
        Aisa hone ka bahut se karan hote hai. ek achhe bloggers na ban pane ka sabse bada karan hota hai hamara ye soch kar blogging start karna ki yaha hum bina mehnat k hi paisa earn kar sakte hai. Aur hum thode se article( wo bhi copy kiya hua) dalne k bad hi paise ka rah dekhne lagte hai. Aur apne visitors ki sankhya badhane ka upaye karne k bajaye apne blog se dur hote jate hai.
        mai aapko bata do ki blogging karne k liye bahut hi mehnat ki jarurat hoti hai aur hame patience rakhne ki jarurat hoti hai ek behtar blog banane me salo lag jate hai.
        Mai aapko suggest karunga ki aap blogging apne knowledge se jyada se jyada logo ko fayada pahuchhane k udesya se kare
        Agar aap apne blog ko jyada popular banana chahate hai to aap apna pura dhayan apne visitors ko achhe content provide karane aur ye sochne k liye lagaye ki aap apne blog k content ko kaise jyada se jyada logo tak pahucha sakte hai iske liye aap mera ye post padhe 7 search engine optimisation tips

Some tips for new blogger

1st step

Agar aapne abhi blog nahi banaya hai to mera salah hai ki aap ek Web hosting provider se ek domain name aur hosting package kharid le. Isse aapko apna blog banane me asani hoga aur sath hi aapke blog ka domain name professional look ka hoga. Example k liye agar aap ek free blog use kar rahe hai to uska nam kuchh Aisa hoga

Yoursite.wordpress.com
           Or
Yoursite.blogspot.com

Aur agar aapne ek hosting package kharida hai to uska nam aisa hoga

www.yoursite.com

2nd step apne website k favicon ko update kare

Favicon 16×16 ka ek icon hota hai jo aapke Web address k baad browser k sabse upar hota hai ya phir agar aap apne blog ka bookmark add kiya hai to yah waha par dikhega
      Ek naye blog me favicon generally ya to aapke blog k hosting site ka logo hota hai ya phir blank hota hai. Aapko apne website ka favicon badalne k liye ek 16×16 pixel k icon ki jarurat hoti hai

3rd apne post ka permalink structure update kare

Jab aap apne blog me new content add karte hai to uska url khud b khud ban jata hai lekin vo jyada achha nahi dikhata hai. Vo kuchh is tarah dikhata hai.

Http://www.livebrain.blogspot.com/?p=123

permalink update karne k liye aap following step follow kare

For blogger blog

1  aap apna post likhte wakat jaha se level add karte hai thik usi k   niche aapko link likha hua dikhai dega aap us par click kare
2 niche k box se custom permalink select kare
3  box me blog ka title add kare
4  done per click kare


4TH  widget aur plugin ko hataye

Agar aap chahte hai ki aapke visitor bor na ho aur aapko site pura open hone me jyada samay na lagaye to aap kam gadgets aur plugin use kare

5th   apne blog ko achhe format me likhe

Jo naye blogger hote hai vo initially bahut hi achhe article add karte hai lekin jo bat unhe as a new blogger represent karti hai wo hai unke post ka format
             Naye blogger generally heading, subheading, bold keywords, italic etc. Ka use nahi karte hai
       Isliye apne post ko sahi se saja kar aap khud ko apne visitor k samne as a new blogger represent karne k badale ek behtar blogger k rup me represent kar sakte hai

Comments

Popular posts from this blog

BLOG KAISE BANAYE IN HINDI