SEARCH ENGINE OPTIMISATION TIPS (SEO) 1

SEO kya hai

SEO ka pura nam search engine optimisation hai. Yah ek disha nirdesh hai aapka google.com, yahoo.com ya bing.com jaise search engine k liye. SEO k dwara aap search engine ko yah batate hai ki user k search result par ve aapke site ko kaise represent kare.

SEO kaise kam karta hai

SEO(search engine optimisation) ek software tools k through kam karta hai jise spiders kahate hai.
Man lijiye ki pura kamra ek khali room hai aur hawa me jo particles hai wo website hai ab spider jo bhi step lega wo kisi bhi ek website se hoke gujrega aur spider us website ko bahut hi achhi tarah check karega. Isi tarah se search engine har website se Ho kar gujarta hai aur ek k baad ek site ko pic karta hai aur unka ranking karta hai ye jo ranking hai bahut hi jaruri hai. Google k dwara jo bhi website highly ranked hoga wo hamesa Google k search result k first page pe hoga dusre low rank k website k comprision me. Spider sirf text content ko search karta hai image spider k dwara read nahi kiye jate hai. Isiliye hame apne blog ya website ko achha rank dilane k liye SEO ka jarurat hota hai

SEVEN SEARCH ENGINE OPTIMISATION TIPS

1ST STEP

Post ka title SEO friendly hona jaruri hai. Post title dete wakat apne article ka dhyan rakhe. Post title ye soch kar de ki apka jo content hai use search engine se search karte wakat aap kis keywords ka use karenge ase hi keywords ko apne content k title me add kare. Apne content ka title 70 se kam character ka hi rakhe jyada hone par search engine aapke title ko kat kar chhota kar deta hai

2nd STEP

 Apne content ka quality behtar kare. Agar aap ye sochte hai ki content SEO k liye koi maine nahi rakhata hai to aapko ek baar phir se sochane ki jarurat hai

a) kabhi kahi se copy paste na kare

b) jyada image ya multimedia file na Rakhe

c) 300 words se kam ka post na likhe

d) key word ka jabardasti use na kare mera matalab agar article likhte wakt agar kahi par aapko keyword likhne ki jarurat mahsus nahi ho rahi ho to waha pe keywords ka use na kare (example k liye aap mere is article k liye SEO ko as a key ward dekh sakte hai maine iska use nahi kiya hai lekin ye har jagah aapko dikhai dega)


note :- Key word ka matlab hai aisa word jiska hum use karte hai search engine se kisi article ko search karte wakat


e) Agar aapko apne article ko badhiya se samjhane k liye kisi image ka jarurat hai to aap unka nam bhi koi keywords rakhe to behtar hai


3rd step

 keywords Kisi article ya content ko search karne k liye aap jo words use karte hai use hi keywords kaha jata hai. Keywords bahut jaruri hote hai SEO k liye phir bhi aap apne post me iska jyada istemal na kare aisa karne par spider aapke content ko spam k rup me detect karta hai aur aap k content ko neglect kar dega. 

Keywords se sambandhit kuchh tips

a) title me keywords ka use jarur kare (jaise maine SEO title me use kiya hai)

b) page k url me keywords use kare


Aap apne post k liye jaha par level dalte hai usi k thik nichhe aap schedule link par click kare
Iske bad kuchh option dikhega usme se aap custom permalink select kare niche k box me keywords dale ab done par click kare. Ab aapka link tayar hai


c) paragraph k suru aur last me keywords ka use kare aur article me jaha iska use odd na lage


4th STEP META TAGS

Agar hum 21st century se pahle k samay me rah rahe hote to meta tags sayad bahut jaruri hota but abhi agar koi aapse ye kahe ki meta tags aapke site k SEO k liye bahut jaruri hai to unse kahe ki aisa koi bat nahi hai. Ab meta data me keywords use karna jaruri nahi rah gya hai. Kuchh themes ye kam khud se kar de rahe hai aur agar vo nahi kar pa rahe hai to paresan hone ki koi baat nahi hai aap 3rd party plugins use kar sakte hai jaise ki "All in one SEO pack" and scribe

5th STEP social site par prachar


Apne blog ka social site par itna prachar kar de ki har taraf aapke hi blog/site ka charcha rahe. Visitors aapke content ko social media sites ya apne blog par share karne lage ye aur bhi behtar hoga ki high rating wale site aapke blog par visit kare aisa hone par spider ko lagta hai ki aapka blog bahut important hai tabhi to har taraf aapke blog ka charcha ho raha hai. Isse aapke blog ka rating bahut hi teji se badhega. Iske liye aap dusre achhe rating wale blog par apne link k sath comment kare. Dusre achhe rating wale blogger se friendship kare aur use apne blog par comments karne ko kahe. Ye chhota sa kam bahut hi important hoga aapke blog ka SEO badhane k liye


6th STEP link in and link out

SEO ki dristi se hyper link( kisi dusre blog pe apna link chhodna) bahut hi jaruri hote hai. Link banane ka behtar tarika guest posting hai


7th STEP Daily likhe

Aap apne blog pe daily naye content add karne ki kosis kare. Daily content add karne se spider vivas ho jata hai regular aapke blog pe aane k liye

Comments

Popular posts from this blog

BLOG KAISE BANAYE IN HINDI