"MISSILE MAN" ko bachho ka khat



Duniya k best scientists k list me apni jagah banane wale hamare "missile man" ko bahut sare bachho ka khat aata tha aur hamare "real hero" Dr A P J Abdul kalam har bachche k khat ko jabab dene ki har sambhav kosis karte the.

Kuchh sawal aur hamare real hero ka jawab


Sawal:- kismat ki mehrbani kitni jaruri hai? 
Jawab:- kathin mehnat pahle aata hai. ...  kismat tumhara sath dega jab tum kathin mehnat se lage rahoge. Ek mashoor kahawat hai " allah unhi ki madad karta hai jo apna khud ka madad karta hai". Ek aur kahawat hai " rato rat safal hone k liye salo tak kathin mehnat karna padta hai.


Sawal:- Mujhe batlaye, dunia ka sabse pahla scientist kaun hai? 
Jawab:- science janm leta hai, aur jita hai sirf sawal k karan. Sawal hi Science ka base hai aur jaise ki mata pita aur teachers achhi tarah jante hai ki bachhe kabhi bhi na samapt hone wale questions k source hai. Isliye bachcha sabse pahla scientist hai.


Sawal:- Science aur math k anek formula yaad rakhane k pichhe kya rahasya hai?
Jawab:- baar baar abhyas kar k koi bhi science aur math k formule ko yaad kar sakta hai.


Sawal :- aap hamare aadarsh person hai, ek achha insan banane k liye hame kuchh sujhaw de?
Jawab :- kathin mehnat aur adhyatmik k sath sath combined vaigyanik vyavhar tumhe ek achha insan banayega. Bas dusro se achhai lene ki kosis karo.


Comments

Popular posts from this blog

BLOG KAISE BANAYE IN HINDI