BLOG KAISE BANAYE IN HINDI

Mai is post me aapko step by step guide karunga ek blog ko create karne me.Mere andaje se aapka sabse pahla question hoga ki hum blogging Kyo kare? Ya hum blogging me aapna kimti wakat waste Kyo kare?  Mai aapse ye nahi kah raha Hu ki aapke liye blogging karna must hai ye aap pe depend karta hai ki aap blogging karenge ya nahi. Lekin yadi aapke pass koi message hai jo aap jyada se jyada logo tak pahuchana chahte hai ya aapke pass koi idea hai jise aap sabse share karna chahte hai ya phir aap kisi aise platform ki talas me hai jaha aap as a author kuchh publish kar sake to aap sahi place pe hai. Ji ha aap ek blog k through apni awaz ko duniya k kone kone tak pahucha sakte hai.
To chaliye ab hum apna blog banate hai
.

Step 1 ek host ko set kare


Jaise Hume rahne k liye kisi place ki jarurat hai usi tarah online world me bhi hame ek place ki jarurat hai aapne blog k liye. Hamare pass iske liye bahut sare raste hai agar hame free me jagah chahiye to wo bhi uplabdh hai aur agar hum jagah ko kharidna chahe to wo bhi koi badi baat nahi bas jeb thodi dhili karni hogi. Hum ek free ka blog use kare ya khud ka kharida hua ye hum pe depend karta hai. To aiye hum baat karte hai ki self hosted blog aur free blog me difference kya hai.


Self hosteded blog

ye ek aisa blog hai jiske malik aap hai aur iske content pe sirf aapka hak hai. ye thik ek ghar kharidne jaisa hai

Free blog

ye ek aisa blog hai jiska owner koi aur hai (example WordPress.com , blogger.com) aur wo aapko free me space provide kara raha aapke blog k liye.Iska jo negative point hai wo ye hai ki agar host karne wale ne apne privacy policy me koi change kiya ya phir aapko apna service dena band kar diya to aap loot jawoge. I mean aap barbaad Ho jawoge. Aapka jo content hai disappear Ho jayega (maybe). Ye thik ek ghar ko rent pe lene jaisa hai (rent=0). Agar yahi baat aap ek line me janana chahte hai to Mai aapko bata du ki yaha bhi sab money hi control karta hai jitna jyada money aap invest karoge utna hi jyada control aapko apne site pe milega. 

Self hosted blog kaise suru kare

Iske liye aap sabse pahle WordPress.org se ek blogging software download kare aur phir bluehost.com se hosting kharide.


Free blogke liye aapko kisi bhi ek hosting site se sign up karna hoga.
Recommended site

WordPress.com

Blogger.com

Agar aap apne blog par kuchh bhi invest nahi karna chahte hai to aap is step ko follow kare. Aap apne blog ko baad me upgrade kar sakte hai. Mera matlab hai abhi rent par rahe baad me apne liye ek ghar kharid lijiyega. Mai aap se suggest karunga ki aap wordpress ko hi use kare.


Step 2 domain name register kaise Kare

Ab sayad aapka ye question hoga ki ye domain name kya hai?  Simple language me ye aapke online ghar ka pata hai. Agar aap ek hosting account k liye sign up hai to aap ek free domain k liye register kar sakte hai (recommend). Mai aapko kya karne se mana kar raha Hu. Ek domain name kharidne se kyoki ye complicated ho sakta hai. Lekin agar aapne ek domain kharid liya hai to koi bat nahi Mai aapko aage ye bhi bataonga ki kaise domain name ko transfer karte hai.


Domain name chonane k liye kuchh tips

Aap domain name chunane me thodi sawdhani barte jaldibazi na kare. Domain name bahut hi khas hota hai kisi bhi blog k liye isliye aap ise bahut hi sawdhani se chune.


● hyphens (-) ka use na kare ( ex. live-brain.blogspot.com) . Agar aap jo domain name chahte hai vo bina hyphen uplabdh nahi hai to koi aur domain name choose kare. Hyphen wale urls thode confusing hote hai aur inhe yaad karne me thodi paresani hoti hai.

● numerals ka use na kare

Mai sochata Hu ki aap kisi ko apne website ka address batate wakat ye explain nahi karna chahenge ki aapka matlab is 4 se hai na is four se

● Mai aapko suggest karunga ki double meaning wale word use na kare ( ex. ilium, ileum)

● aise words ka use na kare jise padhne me paresani aaye.

● apne blog ka domain name search friendly banaye.

Mera matlab agar aap kisi khas topic pe focus karana chahte hai to ye sure kar le ki aapne apne domain name me apne topic se related koi keyword use kiya hai. Ye step aapke blog k liye bahut mayene rakhata hai isliye mai aapko salah dunga ki apne domain name k liye thoda wakat de.


Step 3 word press ko install kare

Ab agar aapne hosting kharid liya hai aur aapke pass ek domain name hai to ab aapko jarurat hai WordPress k software ko install karne ki jise aap WordPress.org se download kar sakte hai. Agar aap blue host ki hosting use kar rahe hai to ve aapko ek tutorial provide karate hai. Jaha aapko is step k bare me already bataya jata hai

Step 4 design your blog

WordPress ek architecture k saman hai jo aapko apne online house ko sajane me help karega. Ab aapko apne wall ko paint karne ki jarurat hai iske liye aapko ek theme ki jarurat hogi jo free se lekar kai range me uplabdh hai


Yaha kuchh option bataye gaye hai

● custom design:- agar aap apne blog ko sabse alag rup dena chahte hai to aap apne blog ko design karne k liye kisi blog designer ko pay kar sakte hai. Iske liye aapko kam se kam $500 pay karne honge
● premium theme:- ek sundar theme kharidne k liye aap studio press ya tribe theme ka use kar sakte hai.
● waise word press par already 1000 free theme uplabdh hai bas aapko apne liye ek choose karne ki jarurat hai. Agar aapne apna blog design kar liya hai to ab wakat hai posting ka

Step 5 content ko banana aur post karna

Important three step

1st         ek behtareen about page banaye
Yah aapke visitors ko welcome karne k liye hai. ye aapka story aapke visitor ko batata hai ye batata hai ki aapne ye blog Kyo banaya hai.


2nd   ek aisa way tayar kijiye ki log aapko subscribe kar sake. Iske liye aap mailchimp ka use kar sakte hai yah 2000 subscriber tak free hota hai


3rd apna pahla post publish kare iske liye aapko tension lene ki jarurat nahi hai bas aap kuchh publish kijiye is bare me naa soche ki ye perfect hai ki nahi bas aap daily ( Ji ha regular, ye bahut important hai) publish karne ki kosis kijiye dhire dhire aapke writing me sudhar ho jayega.

Comments

Popular posts from this blog