Earn money online

Agar aap kisi kam me mahir hai aur aapke pass kuchh free time hai to aap apne ghar par rah kar Internet k through kuchh money earn kar sakte hai.
Niche kuchh online earning k popular ways ko describe kiya gya hai.

1 publish your book

Agar aap likhana pasand karte hai aur apne book ko publish karna chahte hai to amazon ek kindle direct publishing nam ka free service offer karta hai ye service aapko apne book ko kindle (electronic) book store par publish karne ka mauka deti hai aur aapke book k sell hone par aapko royalties deti hai.

Yaha par do tarah k plan hai

a)  35% royalty :- book k kisi bhi country me sell hone par agar aapko royalty chahiye to aapko 35% royalty milega.

b) 70% royalty :- 70% royalty aap ko tab milegi jab aap sirf kuchh chuninda country k liye hi royalty pane ko apply karenge ( remaining sabhi country k liye aapko 0% royalty milega )

2 sell your app

Smart phones aur tablets k development k baad  sayad mujhe aapko ye batane ki jarurat nahi hai ki app development business kitana improve kar gya hai. Agar aap ne app development course kiye hai to aap ek app develop kar kuchh earnings kar sakte hai
      Agar aap app develop karna nahi jaante hai aur app development course karna chahte hai to aap ise online kar sakte hai. Yaha bahut sare tutorials free me uplabdh hai.
       Waise to app banana sikhana ek easy work hai but jo hard part hai wo hai app development k liye ek achhe idea ka hona.  Best of luck for ur idea
Ek baar agar aap ne app bana liya to aap ise kisi bhi app store par submit kar dijiye. Wo aap ke app k through advertisement karenge aur us se jo munafa hoga usme se aapko bhi denge. iske liye bas aapko apne app ko submit karte wakat " earning through inapp advertisement" ko select karna hoga.

3   Start an online shop

Agar aap ek creative person hai aur kuchh handicrafts (hath ka bana hua saman) banana jante hai ya aap kisi whole sale dealer ko jante hai,  to aap kuchh unique saman low price par kharidiye. Ek bar agar aapke pass kuchh stock ready ho jate hai to apne saman ko bechane k liye aap apne liye ek online shop setup kar sakte hai.
Recommended site
Ebay.in
Indiebazar.com

Bas aapko in site par sign up karna hoga aur jaise hi aap as a seller verified honge ve aapko step by step apna online store banane ka tarika batayenge
   

Comments

Popular posts from this blog

BLOG KAISE BANAYE IN HINDI