Mai apne liye aaina chahta hu
Galat-fahmiyon ki saja chahta Hu
Mai apne liye aaina chahta hu
Bahut der tak nind aaayi thi mujhko
Bahut der tak jagna chahta hu
Ye sari kitabe hai meri kitabe
Ye likha hua dekhna chahta hu
Kabhi sochata hu ki chhota sa ghar ho
Kabhi sochata hu ye kya chahta hu
Abhi to safar ka irada kiya hai
Abhi to fakat rasta chahta hu
Falak par Falak ki kabaye (vastra) milengi
Jami pe jami ki kaba chahta hu
Nigaho me faili hui chahto ka
Mai koi naya silsila chahta hu
Duwawo ka talib (chahne wala) khalis aur hoga
Mai apne liye baddua chahta hu
Galat-fahmiyon ki saja chahta Hu
Mai apne liye aaina chahta hu
By:- khalis mujaffar
Mai apne liye aaina chahta hu
Bahut der tak nind aaayi thi mujhko
Bahut der tak jagna chahta hu
Ye sari kitabe hai meri kitabe
Ye likha hua dekhna chahta hu
Kabhi sochata hu ki chhota sa ghar ho
Kabhi sochata hu ye kya chahta hu
Abhi to safar ka irada kiya hai
Abhi to fakat rasta chahta hu
Falak par Falak ki kabaye (vastra) milengi
Jami pe jami ki kaba chahta hu
Nigaho me faili hui chahto ka
Mai koi naya silsila chahta hu
Duwawo ka talib (chahne wala) khalis aur hoga
Mai apne liye baddua chahta hu
Galat-fahmiyon ki saja chahta Hu
Mai apne liye aaina chahta hu
By:- khalis mujaffar
Comments