Mai apne liye aaina chahta hu
Galat-fahmiyon ki saja chahta Hu Mai apne liye aaina chahta hu Bahut der tak nind aaayi thi mujhko Bahut der tak jagna chahta hu Ye sari kitabe hai meri kitabe Ye likha hua dekhna chahta hu Kabhi sochata hu ki chhota sa ghar ho Kabhi sochata hu ye kya chahta hu Abhi to safar ka irada kiya hai Abhi to fakat rasta chahta hu Falak par Falak ki kabaye (vastra) milengi Jami pe jami ki kaba chahta hu Nigaho me faili hui chahto ka Mai koi naya silsila chahta hu Duwawo ka talib (chahne wala) khalis aur hoga Mai apne liye baddua chahta hu Galat-fahmiyon ki saja chahta Hu ...